21 October 2006

Maut se pehle
zindagi ke chand lamhe
churana chahti hun main!
aankhen band hone se pehle
kuch pal khul kar
jeena chahti hun main!
yun to har kadam per
ek maut hai
fir bhi har kadam
chand saansen lena chahti hun main!
uske hi banaye
is chausar per
chand chaalen khud chalna chahti hun main!
khushion me pali kuch saansen
zindagi ke gamon ko dena chahti hun main!

ye aankhen band hone se pehle
kuch pal, kuch aur pal
jeena chahti hun main!!!

1 comment:

Piyush k Mishra said...

you use some very rare words used in hindi poems like chausar.
I love this yaar.