Gaye saawan me yeh aankhein
seeli na thi
na jane kyun, is dafa inme seelan aa gayi hai...
deewaron me darrarein pad gayi hain
rogan ki akhiri boond tak jhad chuki hai
nagan eenthien nazar aane lagi hain
farsh ke pathar bhi ab pathar nahi lagte
kuch toot chuka hai, aur baki
toot raha hai
ik sapna tha mera-
ek Ghar
jahan sirf Makaan baki hai ab!
No comments:
Post a Comment