Aankhon mein pani hai
aur aaj
sadak per bhi pani hai!
dono mein ek hi
fark hai,
sadak ka pani
chubhta nahi,
aankhon ka pani
dil ko dard deta hai!
hai to pani hi,
fir dono mein
fark kyun?
aankhon ka pani
pani ki keemat ka
ehsaas dilata hai,
yehi fark hai jo
ek ko aansun aur
ek ko keechad banata hai!!
No comments:
Post a Comment