Kabhi mehendi ke rang me
kbhi chudiyon ke shor me
kabhi jhumke ke ghungroo me
kabhi pairon ki panjeb me
kabhi hathon ki lakeeron me
kabhi palkon ke sapno me
kabhihothon ki muskurahat me
kabhi nam hui aankhon me
kabhi hanste kisi kisse me
kabhi mayus kisi baat me
dekha karte the sanam tujhe
kabhi dekha hi nahi
tera hona ek dhoka tha
ek waham
tu khud nahi,tera saya bhi nahi
phir bhi teri aas lagaye hue the hum!
aaj tera waham bhi nahi
phir bhi
chaukhat pe ek diya hai jalaya
intezaar hai us pal ka
jab tu khud aayega
mere hothon ko choo ke kahega
"Mujhse shaadi karegi!"
No comments:
Post a Comment