Bhagti hui
suiyon se kaho
zara ruken,
thehren
aur dekhen,
inke banaye
jaal mein
koi ghut raha hai!
apni waqt ki raftar chod
chalen hum
insano ke saath,
aur jeeyen
wo zindagi
jisme
har lamha
ek lamhe ko
nigal jata hai,
har pal ki zindagi
ek pal ki maut se banti hai!
inke liye har pal
ek nayi zindagi hai,
per yahan
har lamha
ek nai maut;
armaan ki,
sapne ki,
umeed ki,
waqt ki,
khushi ki,
aur kabhi
insaan ki
No comments:
Post a Comment