03 January 2007

Takhleek
Kuch na tumne kaha
kuch na humne,
fir bhi beech mein
meelon ye fasla hai.
Na meri hai khata
na teri
fir bhi ye kashmakash hai
jhulas raha hai rishta,
shayad
ise shabdon ki nahi
hamare aaghosh ki zarurat hai!

1 comment:

Piyush k Mishra said...

Takhleek-

it happens often...relations die just because we think chalta hai.

sirf shabdon ke sahare rishte nahin chalte...use zaroorat hoti hai ahsas ki. ek rishta jise zaroorat hoti hai ahsas ki garmi ki woh hamare EGO ki garmi mein jhulas jata hai.

Nidhi....you always use simple words but describe very deep things. That the biggest aspect of your poem which always bounds me to say you are a magician-magician of words.
take care!