17 April 2007

Aadat

Din bhi kat rahe hain
aur raatein bhi
kehne ko
kuch nahi badla
sab kuch waisa hi hai
jaisa tum chod gaye the
wahi din
wahi raat
tumhari jagah
tumhari yaadon ne le li
ab tum to nahi
tumhari yaadein satati hain
itna sa hi farak hai ki
tum sang jeeti thi
tumhari yaadein
har pal rulati hain
zinda to hun main
per aise zindagi
jee nahi jaati hai!

No comments: