Ab na aansu baki hai
na shabd hi
na koshish baki hai
na umeed hi
bas ek khamoshi hai
jo kheench leti hai
ab,
mere har ehsaas ko
ghut gaye hain saare armaaan
isike saaye mein.
Ab na dard baki hai
na khoon hi
bas ek ghav hai
jo ghera ho raha hai
har saans ke sath
kyunki
har saans ek pal le jati hai;
ek khali palj
isme na tu haina teri parchayee hi!
Ab na aansu baki hai
na shabd hi
na koshish baki hai
na koi umeed hi!
No comments:
Post a Comment