Zindagi ke
har chehre se judi
ek alag kahani hai
har pal mein chupi
nayi zindagani hai
meri bhi ek kahani hai!
Jeena hai mujhe
har pal ko
jhoomna hai
har din po phatne par
jeena hai mujhe
sagar ki har lehar per
patjhad ke har patte per
marna hai aise
ki zindagi ke daman mein lipti
ek mehak
ek roshni
duniya ko roshan kar
aasman mein chamakne ja rahi ho jaise
jeena hai mujhe
apne har shabd mein
apni her saans mein
ki maut bhi aaye
to zindagi se bharpoor ho…
1 comment:
nice promise...
achha hausala hai...
BUT
jeene k poem me marne shabd ka
prayog jo hua hai uski timing thodi weak hai
isko thoda aur dilchasp banaayaa ja sakta tha...
nyways its loving....
PM
Post a Comment