07 September 2007

Kabhi Kabhi zindagi ke har kadam pe kyun mann me ek prashan umad padta hai? Kyun har baat per ek prashan chihn lag jata hai? Kyun lagne lagta hai ki agla kadam zindagi ka aakhiri kadam hai? ...In sawalon ke jawab dhundhne per bhi nahi milte, to kya jeena chod den? ya prashan karna hi chod den? ya muk baithe rahen is ummed me ki kabhi kahin se ek dakiya aayega in sawalon ke jawab leke aur us band chitthi ke khulte hi sab theek ho jayega?

1 comment:

Manali_Aaina said...

haan akhir mein sab thik ho jayega zarur....achhe logon ke saath achha hi kuch hoga.. :)